Wo Shehr e Mohabbat

Naat — countless salutations upon the Beloved ﷺ, his family, companions, and the friends of Allah.


Wo Shehre Mohabbat Jahan Mustafa Hai
Wahin Ghar Banaane Ko Jee Chaahta Hai

Wo Sone Se Kankar, Wo Chaandi Si Matti
Nazar Me Basaane Ko Jee Chaahta Hai

Jo Poochha Nabi Ne Ki Kuchh Ghar Bhi Chho.da
To Siddiq-e-Akbar Ke Hontho Pe Aaya
Wahaan Maal-o-Daulat Ki Kya Hai Haqeeqat?
Jahan Jaan Lutaane Ko Jee Chaahta Hai

Jihaad-e-Mohabbat Ki Aawaaz Goonji
Kaha Hanzla Ne Ye Dulhan Se Apni
Ijaazat Agar Ho To Jaam-e-Shahaadat
Labo Se Lagaane Ko Jee Chaahta Hai

Sitaaron Se Ye Chaand Kehta Hai Har-Dam
Tumhe Kya Bataaun Wo Tukdon Ka ′Aalam
Ishaare Me Aaqa Ke Itna Maza Tha
Ki Phir Toot Jaane Ko Jee Chaahta Hai

Wo Nanha Sa Asgar, Jo E Di Ragad Kar
Yahi Keh Raha Tha Wo Khaime Me Ro Kar
Ai Baaba! Main Paani Ka Pyaasa Nahin Hun
Mera Sar kataane Ko Jee Chaahta Hai

Jo Dekha Hai Roo-e-Jamaal-e-Risaalat
To, Taahir! ′Umar Mustafa Se Ye Bole
Badi Aap Se Dushmani Thi Magar Ab
Gulaami Me Aane Ko Jee Chaahta Hai